ye nahin hai ki tujhe maine pukara kam hai
ye nahīñ hai ki tujhe maiñ ne pukārā kam hai
mere nāloñ ko havāoñ kā sahārā kam hai
is qadar hijr meñ kī najm-shumārī ham ne
jaan lete haiñ kahāñ koī sitārā kam hai
dostī meñ to koī shak nahīñ us kī par vo
dost dushman kā ziyāda hai hamārā kam hai
saaf iz.hār ho aur vo bhī kam-az-kam do baar
ham vo aaqil haiñ jinheñ ek ishārā kam hai
ek ruḳhsār pe dekhā hai vo til ham ne bhī
ho samarqand muqābil ki buḳhārā kam hai
itnī jaldī na banā raa.e mire baare meñ
ham ne hamrāh abhī vaqt guzārā kam hai
baaġh ik ham ko milā thā magar us ko afsos
ham ne jī bhar ke bigāḌā hai sañvārā kam hai
aaj tak apnī samajh meñ nahīñ aayā 'bāsir'
kaun sā kaam hai vo jis meñ ḳhasārā kam hai
ye nahin hai ki tujhe main ne pukara kam hai
mere nalon ko hawaon ka sahaara kam hai
is qadar hijr mein ki najm-shumari hum ne
jaan lete hain kahan koi sitara kam hai
dosti mein to koi shak nahin us ki par wo
dost dushman ka ziyaada hai hamara kam hai
saf izhaar ho aur wo bhi kam-az-kam do bar
hum wo aaqil hain jinhen ek ishaara kam hai
ek ruKHsar pe dekha hai wo til hum ne bhi
ho samarqand muqabil ki buKHara kam hai
itni jaldi na bana rae mere bare mein
hum ne hamrah abhi waqt guzara kam hai
bagh ek hum ko mila tha magar us ko afsos
hum ne ji bhar ke bigaDa hai sanwara kam hai
aaj tak apni samajh mein nahin aaya 'basir'
kaun sa kaam hai wo jis mein KHasara kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.