Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye nahin kahta ki dobara wahi aawaz de

Zafar Iqbal

ye nahin kahta ki dobara wahi aawaz de

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    ye nahīñ kahtā ki dobāra vahī āvāz de

    koī āsānī to paidā kar koī āvāz de

    maiñ use sun kar bhī aane nahīñ majbūr huuñ

    phir bhī apne ḳhvāb-ḳhāne se kabhī āvāz de

    ho sake donoñ zamānoñ meñ ham-āhañgī koī

    maiñ purānā huuñ to kyā mujh ko na.ī āvāz de

    maut ke sāhil par istāda huuñ to mujh ko kahīñ

    zindagī ke pāniyoñ meñ Dūbtī āvāz de

    Thiik hai ne pukārā hogā jis-tis ko magar

    mere hisse meñ koī aa.ī huī āvāz de

    bin bulāyā chalā ā.ūñgā maiñ shāyad kabhī

    lekin itne shor meñ to aap bhī āvāz de

    maiñ use pahchān pā.ūñ na pahlī baar to

    koī āvāzoñ ke jañgal meñ ghirī āvāz de

    muñh se kuchh kah to sahī is ḳhāmushī ke ār-pār

    mustaqil ko chhoḌ koī sarsarī āvāz de

    ne to har haal meñ sunñā hai ab tujh ko 'zafar'

    raushnī āvāz de tīrgī āvāz de

    ye nahin kahta ki dobara wahi aawaz de

    koi aasani to paida kar koi aawaz de

    main use sun kar bhi aane ka nahin majbur hun

    phir bhi apne KHwab-KHane se kabhi aawaz de

    ho sake donon zamanon mein ham-ahangi koi

    main purana hun to kya mujh ko nai aawaz de

    maut ke sahil par istada hun to mujh ko kahin

    zindagi ke paniyon mein Dubti aawaz de

    Thik hai tu ne pukara hoga jis-tis ko magar

    mere hisse mein koi aai hui aawaz de

    bin bulaya hi chala aaunga main shayad kabhi

    lekin itne shor mein to aap bhi aawaz de

    main use pahchan hi paun na pahli bar to

    koi aawazon ke jangal mein ghiri aawaz de

    munh se kuchh kah to sahi is KHamushi ke aar-par

    mustaqil ko chhoD koi sarsari aawaz de

    tu ne to har haal mein sunna hai ab tujh ko 'zafar'

    raushni aawaz de ya tirgi aawaz de

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now