ye nahin kasrat-e-alam se jal jate hain
ye nahīñ kasrat-e-ālām se jal jaate haiñ
dil tamannā-e-ḳhush-anjām se jal jaate haiñ
un se pūchhe koī mafhūm-e-hayāt-e-insāñ
maqbaroñ meñ jo diye shaam se jal jaate haiñ
zikr aatā hai mirā ahl-e-muhabbat meñ agar
mere ahbāb mire naam se jal jaate haiñ
sham' jaltī hai to ro detī hai soz-e-ġham se
aur parvāne to ārām se jal jaate haiñ
sho.ala-e-barq se ham-rāh-e-nasheman aksar
gulsitāñ gardish-e-ayyām se jal jaate haiñ
ye nahin kasrat-e-alam se jal jate hain
dil tamanna-e-KHush-anjam se jal jate hain
un se puchhe koi mafhum-e-hayat-e-insan
maqbaron mein jo diye sham se jal jate hain
zikr aata hai mera ahl-e-muhabbat mein agar
mere ahbab mere nam se jal jate hain
sham' jalti hai to ro deti hai soz-e-gham se
aur parwane to aaram se jal jate hain
shoala-e-barq se ham-rah-e-nasheman aksar
gulsitan gardish-e-ayyam se jal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.