ye nahin wo rahguzar kuchh aur hai
ye nahīñ vo rahguzar kuchh aur hai
mere ḳhvāboñ kā nagar kuchh aur hai
rañg the kal aañkh meñ kuchh aur hī
aaj bhī raqs-e-sharar kuchh aur hai
lab pe mere hai tabassum kā ġhubār
haañ magar zaḳhm-e-jigar kuchh aur hai
ḳhud ke hone kā gumāñ hai bhī to kyā
sāmne apne magar kuchh aur hai
shab meñ thiiñ chāroñ taraf shādābiyāñ
hādisa vaqt-e-sahar kuchh aur hai
ho gayā hai ḳhatm 'ādil' rāsta
par tirā azm-e-safar kuchh aur hai
ye nahin wo rahguzar kuchh aur hai
mere KHwabon ka nagar kuchh aur hai
rang the kal aankh mein kuchh aur hi
aaj bhi raqs-e-sharar kuchh aur hai
lab pe mere hai tabassum ka ghubar
han magar zaKHm-e-jigar kuchh aur hai
KHud ke hone ka guman hai bhi to kya
samne apne magar kuchh aur hai
shab mein thin chaaron taraf shadabiyan
hadisa waqt-e-sahar kuchh aur hai
ho gaya hai KHatm 'adil' rasta
par tera azm-e-safar kuchh aur hai
- Book : Sitara Sang (Gazals) (Pg. 30)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nirali Duniya Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.