ye nahin ya wo nahin ya tum nahin ya hum nahin

ye nahin ya wo nahin ya tum nahin ya hum nahin
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
ye nahīñ yā vo nahīñ yā tum nahīñ yā ham nahīñ
kaun is duniyā meñ aisā hai ki jis ko ġham nahīñ
ek ik tasvīr hai mahfūz ab tak hū-bahū
ai tasavvur tujh se behtar koī bhī album nahīñ
fā.eda takrār se kyā hogā jaane dījiye
ham se vāqif tum nahīñ ho tum se vāqif ham nahīñ
ham bhī tāvīloñ se dil bahlā rahe haiñ kyā kareñ
ab sa’ādat-mand bachche mo'jize se kam nahīñ
chāhe jitnī bhī ghumā kar baat kī jaa.e 'shakīl'
muskurā kar saaf kah dete haiñ vo har dam nahīñ
ye nahin ya wo nahin ya tum nahin ya hum nahin
kaun is duniya mein aisa hai ki jis ko gham nahin
ek ek taswir hai mahfuz ab tak hu-bahu
ai tasawwur tujh se behtar koi bhi album nahin
faeda takrar se kya hoga jaane dijiye
hum se waqif tum nahin ho tum se waqif hum nahin
hum bhi tawilon se dil bahla rahe hain kya karen
ab sa’adat-mand bachche mo'jize se kam nahin
chahe jitni bhi ghuma kar baat ki jae 'shakil'
muskura kar saf kah dete hain wo har dam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.