ye nang-e-ashiqi hai sud o hasil dekhne wale
ye nañg-e-āshiqī hai suud o hāsil dekhne vaale
yahāñ gumrāh kahlāte haiñ manzil dekhne vaale
ḳhat-e-sāġhar meñ rāz-e-haq-o-bātil dekhne vaale
abhī kuchh log haiñ saaqī kī mahfil dekhne vaale
maze aa aa ga.e haiñ ishva-hā-e-husn-e-rañgīñ ke
taḌapte haiñ abhī tak raqs-e-bismil dekhne vaale
yahāñ to umr guzrī hai isī mauj o talātum meñ
vo koī aur hoñge sair-e-hāsil dekhne vaale
mire naġhmoñ se sahbā-e-kuhan bhī ho ga.ī paanī
ta.ajjub kar rahe haiñ rañg-e-mahfil dekhne vaale
junūn-e-ishq meñ hastī aalam par nazar kaisī
ruḳh-e-lailā ko kyā dekheñge mahmil dekhne vaale
ye nang-e-ashiqi hai sud o hasil dekhne wale
yahan gumrah kahlate hain manzil dekhne wale
KHat-e-saghar mein raaz-e-haq-o-baatil dekhne wale
abhi kuchh log hain saqi ki mahfil dekhne wale
maze aa aa gae hain ishwa-ha-e-husn-e-rangin ke
taDapte hain abhi tak raqs-e-bismil dekhne wale
yahan to umr guzri hai isi mauj o talatum mein
wo koi aur honge sair-e-hasil dekhne wale
mere naghmon se sahba-e-kuhan bhi ho gai pani
tajjub kar rahe hain rang-e-mahfil dekhne wale
junun-e-ishq mein hasti aalam par nazar kaisi
ruKH-e-laila ko kya dekhenge mahmil dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.