Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye nawazish ye inayat ye ata rahne de

Naseer Ahmad Ansari

ye nawazish ye inayat ye ata rahne de

Naseer Ahmad Ansari

MORE BYNaseer Ahmad Ansari

    ye navāzish ye ināyat ye atā rahne de

    bas bahut ho chukā ab aur vafā rahne de

    merī hastī se ḳhudā ke liye ab aur na khel

    ye diyā bujh gayā hai to bujhā rahne de

    us ne aane ko kahā hai to vo aa.egā zarūr

    qasr-e-ummīd darvāza khulā rahne de

    ai masīhā na abhī kar mire zaḳhmoñ ilaaj

    aur kuchh roz chaman dil khulā rahne de

    sakūñ jis ke sahāre mire dil par aisā

    apnī yādoñ koī naqsh banā rahne de

    lūTne vaale mirā luuT le sab kuchh lekin

    paas mere mirī jāgīr-e-anā rahne de

    faisla tere muqaddar yahīñ se hogā

    sar isī dar pe 'nasīr' apnā jhukā rahne de

    ye nawazish ye inayat ye ata rahne de

    bas bahut ho chuka ab aur wafa rahne de

    meri hasti se KHuda ke liye ab aur na khel

    ye diya bujh hi gaya hai to bujha rahne de

    us ne aane ko kaha hai to wo aaega zarur

    qasr-e-ummid ka darwaza khula rahne de

    ai masiha na abhi kar mere zaKHmon ka ilaj

    aur kuchh roz chaman dil ka khula rahne de

    ji sakun jis ke sahaare mere dil par aisa

    apni yaadon ka koi naqsh bana rahne de

    luTne wale mera luT le sab kuchh lekin

    pas mere meri jagir-e-ana rahne de

    faisla tere muqaddar ka yahin se hoga

    sar isi dar pe 'nasir' apna jhuka rahne de

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now