ye nigah ye munh ye rangat ye misi ye lal-e-KHandan
ye nigah ye munh ye rangat ye misi ye lal-e-KHandan
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
ye nigah ye muñh ye rangat ye misī ye lāl-e-ḳhandāñ
ġhazab aur tis pe lenā ye zabāñ ba-zer-e-dandāñ
sitam aur naaz ḳhush hai sanamā vale na-chandāñ
ki pare falak se guzrī ye sadā-e-dard-mandāñ
ye namak ye chhap ye saj-dhaj ye adā ko dekh terī
ba-talātum-e-tahayyur hue ġharq hosh-mandāñ
vo latīfā-goī us kī vo fasāhat aur balāġhat
nahīñ is qadar ki bole koī shā.ir-o-suḳhandāñ
falak-ul-burūj par se kaheñ sab malā.ek āmīn
na asar ho kis tarah se ba-duā-e-mustamindāñ
ye nasīb apne dekho ki samajh ke said-e-lāġhar
udhar aan bhī na phaTke kabhī aah said-bandāñ
but-e-sang-dil ḳhudā kā tujhe tars ho jo kuchh bhī
tū shikasta dil ko mat kar ki ye shīsha hai na sandāñ
ba-kamāl-e-fazl-o-dānish ye ba.iid hai ki 'inshā'
ġhalatī pe tū musir ho ba-misāl-e-ḳhud-pasandāñ
ye nigah ye munh ye rangat ye misi ye lal-e-KHandan
ghazab aur tis pe lena ye zaban ba-zer-e-dandan
sitam aur naz KHush hai sanama wale na-chandan
ki pare falak se guzri ye sada-e-dard-mandan
ye namak ye chhap ye saj-dhaj ye ada ko dekh teri
ba-talatum-e-tahayyur hue gharq hosh-mandan
wo latifa-goi us ki wo fasahat aur balaghat
nahin is qadar ki bole koi shair-o-suKHandan
falak-ul-buruj par se kahen sab malaek aamin
na asar ho kis tarah se ba-dua-e-mustamindan
ye nasib apne dekho ki samajh ke said-e-laghar
udhar aan bhi na phaTke kabhi aah said-bandan
but-e-sang-dil KHuda ka tujhe tars ho jo kuchh bhi
tu shikasta dil ko mat kar ki ye shisha hai na sandan
ba-kamal-e-fazl-o-danish ye baid hai ki 'insha'
ghalati pe tu musir ho ba-misal-e-KHud-pasandan
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.