ye nili aanch ya nilam-pari hai
ye niilī aañch yā nīlam-parī hai
havā kī taan par jo jhūmtī hai
mirā kamra misāl-e-dasht-e-vahshat
jahāñ ram-ḳhurda hirnī kho ga.ī hai
uḌā phirtā hai panchhī canvas par
musavvir kī ajab sūrat-garī hai
talab meñ qatra-e-naisāñ kī be-dam
sar-e-sāhil koī siipī paḌī hai
vahāñ thā aaj gul khulne kā imkāñ
jahāñ kal raat hī bijlī girī hai
jahāñ par dhuup din likh kar ga.ī thī
vahāñ ab raat ne kālak malī hai
guzāra is pe bhī kar to rahe haiñ
magar tū hī batā ye zindagī hai
hai is meñ tūl-e-shām-e-ġham kā qissa
jo ye bālisht bhar kī Diary hai
mayassar hai suḳhan-dānoñ kī sohbat
tabhī achchhī ġhazal-kārī huī hai
ye nili aanch ya nilam-pari hai
hawa ki tan par jo jhumti hai
mera kamra misal-e-dasht-e-wahshat
jahan ram-KHurda hirni kho gai hai
uDa phirta hai panchhi canwas par
musawwir ki ajab surat-gari hai
talab mein qatra-e-naisan ki be-dam
sar-e-sahil koi sipi paDi hai
wahan tha aaj gul khulne ka imkan
jahan kal raat hi bijli giri hai
jahan par dhup din likh kar gai thi
wahan ab raat ne kalak mali hai
guzara is pe bhi kar to rahe hain
magar tu hi bata ye zindagi hai
hai is mein tul-e-sham-e-gham ka qissa
jo ye baalisht bhar ki Diary hai
mayassar hai suKHan-danon ki sohbat
tabhi achchhi ghazal-kari hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.