ye nim-baz teri ankhDiyon ke maiKHane
ye nīm-bāz tirī añkhḌiyoñ ke maiḳhāne
nazar mile to chhalak jaa.eñ dil ke paimāne
sharāb-e-shauq se bojhal laboñ ke paimāne
tirī nigāh ko aise meñ kaun pahchāne
kahīñ kalī ne tabassum kā raaz samjhā hai
jo ḳhud chaman hai vo apnī bahār kyā jaane
jo hosh meñ thā to koī na mai-ba-jām aayā
bahak gayā huuñ to duniyā chalī hai samjhāne
ajab nahīñ jo mohabbat mujhe samajh na sake
vo ajnabī huuñ jise ziist bhī na pahchāne
yahīñ sujūd-e-mohabbat kī bastiyāñ thiiñ kabhī
batā rahe haiñ ye dair-o-haram ke vīrāne
kahīñ charāġh jalāne kī ho rahī hai sabīl
bujhā rahe haiñ yahāñ sham.a ḳhud hī parvāne
fareb-e-mashriq-o-maġhrib haiñ rahravān-e-jadīd
ye bad-nasīb na aaqil hue na dīvāne
vo zinda hai jo bahe mauj-e-vaqt kī rau meñ
vo zinda-tar hai jo tūfāñ meñ Thairnā jaane
maiñ apnī bazm se itnā hī duur huuñ ki 'nushūr'
mirī navāoñ se kuchh āshnā haiñ begāne
ye nim-baz teri ankhDiyon ke maiKHane
nazar mile to chhalak jaen dil ke paimane
sharab-e-shauq se bojhal labon ke paimane
teri nigah ko aise mein kaun pahchane
kahin kali ne tabassum ka raaz samjha hai
jo KHud chaman hai wo apni bahaar kya jaane
jo hosh mein tha to koi na mai-ba-jam aaya
bahak gaya hun to duniya chali hai samjhane
ajab nahin jo mohabbat mujhe samajh na sake
wo ajnabi hun jise zist bhi na pahchane
yahin sujud-e-mohabbat ki bastiyan thin kabhi
bata rahe hain ye dair-o-haram ke virane
kahin charagh jalane ki ho rahi hai sabil
bujha rahe hain yahan shama KHud hi parwane
fareb-e-mashriq-o-maghrib hain rahrawan-e-jadid
ye bad-nasib na aaqil hue na diwane
wo zinda hai jo bahe mauj-e-waqt ki rau mein
wo zinda-tar hai jo tufan mein Thairna jaane
main apni bazm se itna hi dur hun ki 'nushur'
meri nawaon se kuchh aashna hain begane
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 179)
- Author : Nushoor wahedi
- Publication : Sarvat Wahidi D/o Nushoor wahedi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.