ye paikar-e-jamal to itab ke liye nahin
ye paikar-e-jamāl to itaab ke liye nahīñ
mire ḳhudā ye aadmī azaab ke liye nahīñ
tujhe hai shauq-e-bandagī bahisht ke ḳhayāl se
magar mirī ibādateñ savāb ke liye nahīñ
ye mujh se ehtirāz kyuuñ ye mujh se ijtināb kyuuñ
savāl tujh se hai magar javāb ke liye nahīñ
janāb kyuuñ udaas haiñ janāb kyuuñ malūl haiñ
ye ġham to haiñ mire liye janāb ke liye nahīñ
jise pasand aa.egā vo toḌ legā shāḳh se
amaan apne baaġh meñ gulāb ke liye nahīñ
jo ġham uThā chukā hai to unheñ na ab shumār kar
ye muḳhtasar sī zindagī hisāb ke liye nahīñ
zamīñ pe 'shāhid'-e-hazīñ haqīqateñ talāsh kar
ye dasht-e-zindagī kisī sarāb ke liye nahīñ
ye paikar-e-jamal to itab ke liye nahin
mere KHuda ye aadmi azab ke liye nahin
tujhe hai shauq-e-bandagi bahisht ke KHayal se
magar meri ibaadaten sawab ke liye nahin
ye mujh se ehtiraaz kyun ye mujh se ijtinab kyun
sawal tujh se hai magar jawab ke liye nahin
janab kyun udas hain janab kyun malul hain
ye gham to hain mere liye janab ke liye nahin
jise pasand aaega wo toD lega shaKH se
aman apne bagh mein gulab ke liye nahin
jo gham uTha chuka hai to unhen na ab shumar kar
ye muKHtasar si zindagi hisab ke liye nahin
zamin pe 'shahid'-e-hazin haqiqaten talash kar
ye dasht-e-zindagi kisi sarab ke liye nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.