ye paimana sharab-e-tez se bharne nahin deti
ye paimāna sharāb-e-tez se bharne nahīñ detī
koī shai zindagī meñ hai vahī marne nahīñ detī
ajab kuchh mutma.in rakhtī hai ham ko bekalī dil kī
havā-e-hijr kī yūrish se bhī Darne nahīñ detī
havā-e-barshgāl āḳhir ḳhush aatī hai hameñ lekin
jo ham ne kaam karnā hai vahī karne nahīñ detī
bhaḌaktī hai junūñ kī aag agar koh-o-bayābāñ meñ
koī tohmat havā-e-shahr pe dharne nahīñ detī
liye jaatī hai naḳhl-e-ārzū tak zindagī 'ḳhālid'
magar dāman atā-e-naḳhl se bharne nahīñ detī
ye paimana sharab-e-tez se bharne nahin deti
koi shai zindagi mein hai wahi marne nahin deti
ajab kuchh mutmain rakhti hai hum ko bekali dil ki
hawa-e-hijr ki yurish se bhi Darne nahin deti
hawa-e-barshgal aaKHir KHush aati hai hamein lekin
jo hum ne kaam karna hai wahi karne nahin deti
bhaDakti hai junun ki aag agar koh-o-bayaban mein
koi tohmat hawa-e-shahr pe dharne nahin deti
liye jati hai naKHl-e-arzu tak zindagi 'KHalid'
magar daman ata-e-naKHl se bharne nahin deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.