ye pathrae hue dil kab kudurat se nikalte hain
ye pathrae hue dil kab kudurat se nikalte hain
Muhammad Rashid Athar
MORE BYMuhammad Rashid Athar
ye pathrā.e hue dil kab kudūrat se nikalte haiñ
ye vo insāñ haiñ jo patthar kī mūrat se nikalte haiñ
mujhe milne se matlab aur vo matlab se miltā hai
yahāñ sab apnī apnī hī zarūrat se nikalte haiñ
ye sach hai vāpsī tak nuur chehre par nahīñ rahtā
ham apne ghar se yuuñ to ḳhūbsūrat se nikalte haiñ
zarūrat be-ġharaz rishte bhī aksar phūñk detī hai
chalo be-laus ho kar is zarūrat se nikalte haiñ
tirī tasvīr bhī akkās āḳhir kyā utāreñge
kahāñ ye 'aks gahre terī sūrat se nikalte haiñ
hamārī maut par bhī gar Drama chalte rahnā hai
to is kirdār se bāhar mahūrat se nikalte haiñ
ye pathrae hue dil kab kudurat se nikalte hain
ye wo insan hain jo patthar ki murat se nikalte hain
mujhe milne se matlab aur wo matlab se milta hai
yahan sab apni apni hi zarurat se nikalte hain
ye sach hai wapsi tak nur chehre par nahin rahta
hum apne ghar se yun to KHubsurat se nikalte hain
zarurat be-gharaz rishte bhi aksar phunk deti hai
chalo be-laus ho kar is zarurat se nikalte hain
teri taswir bhi akkas aaKHir kya utarenge
kahan ye 'aks gahre teri surat se nikalte hain
hamari maut par bhi gar Drama chalte rahna hai
to is kirdar se bahar mahurat se nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.