ye piran-e-kalisa-o-haram ai wa-e-majburi
Interesting Fact
Baal-e-Gibril
ye pīrān-e-kalīsā-o-haram ai vā-e-majbūrī
sila in kī kad-o-kāvish kā hai sīnoñ kī be-nūrī
yaqīñ paidā kar ai nādāñ yaqīñ se haath aatī hai
vo darveshī ki jis ke sāmne jhuktī hai faġhfūrī
kabhī hairat kabhī mastī kabhī āh-e-sahar-gāhī
badaltā hai hazāroñ rang merā dard-e-mahjūrī
had-e-idrāk se bāhar haiñ bāteñ ishq o mastī kī
samajh meñ is qadar aayā ki dil kī maut hai duurī
vo apne husn kī mastī se haiñ majbūr-e-paidā.ī
mirī āñkhoñ kī bīnā.ī meñ haiñ asbāb-e-mastūrī
koī taqdīr kī mantiq samajh saktā nahīñ varna
na the turkān-e-usmānī se kam turkān-e-taimūrī
faqīrān-e-haram ke haath 'iqbāl' aa gayā kyūñkar
mayassar miir o sultāñ ko nahīñ shāhīn-e-kāfūrī
ye piran-e-kalisa-o-haram ai wa-e-majburi
sila in ki kad-o-kawish ka hai sinon ki be-nuri
yaqin paida kar ai nadan yaqin se hath aati hai
wo darweshi ki jis ke samne jhukti hai faghfuri
kabhi hairat kabhi masti kabhi aah-e-sahar-gahi
badalta hai hazaron rang mera dard-e-mahjuri
had-e-idrak se bahar hain baaten ishq o masti ki
samajh mein is qadar aaya ki dil ki maut hai duri
wo apne husn ki masti se hain majbur-e-paidai
meri aankhon ki binai mein hain asbab-e-masturi
koi taqdir ki mantiq samajh sakta nahin warna
na the turkan-e-usmani se kam turkan-e-taimuri
faqiran-e-haram ke hath 'iqbaal' aa gaya kyunkar
mayassar mir o sultan ko nahin shahin-e-kafuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.