ye qadam qadam kashakash dil-e-be-qarar kya hai
ye qadam qadam kashākash dil-e-be-qarār kyā hai
jo yaqīñ na ho 'amal par to nashāt-e-kār kyā hai
ba-ḳhudā nasīm-e-gulshan tirī vahshatoñ ke sadqe
ye mizāj-e-nāma-bar hai to mizāj-e-yār kyā hai
vo karam na ho sitam ho koī baat kam se kam ho
ye adā-e-be-niyāzī mire ġham-gusār kyā hai
ye ham ahl-e-ġham kī manzil hai dabe qadam guzar jā
ki ajal yahāñ ke fitnoñ meñ tirā shumār kyā hai
abhī aa ke naġhma-e-dil kī bahār dekh jaao
maiñ navā-e-ḳhud-shikan huuñ mirā e'tibār kyā hai
ye qadam qadam kashakash dil-e-be-qarar kya hai
jo yaqin na ho 'amal par to nashat-e-kar kya hai
ba-KHuda nasim-e-gulshan teri wahshaton ke sadqe
ye mizaj-e-nama-bar hai to mizaj-e-yar kya hai
wo karam na ho sitam ho koi baat kam se kam ho
ye ada-e-be-niyazi mere gham-gusar kya hai
ye hum ahl-e-gham ki manzil hai dabe qadam guzar ja
ki ajal yahan ke fitnon mein tera shumar kya hai
abhi aa ke naghma-e-dil ki bahaar dekh jao
main nawa-e-KHud-shikan hun mera e'tibar kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.