ye qanaat hai ki har haal mein KHush rahte hain
ye qanā.at hai ki har haal meñ ḳhush rahte haiñ
daal miltī hai to ham daal meñ ḳhush rahte haiñ
ishq se ham ko rihā.ī nahīñ achchhī lagtī
ham vo panchhī haiñ ki jo jaal meñ ḳhush rahte haiñ
merā maulā tire hāthoñ ko salāmat rakkhe
mere aañsū tire rūmāl meñ ḳhush rahte haiñ
vaqt guzrā to judā.ī bhī judā.ī na rahī
ham yahāñ aur vo bhopal meñ ḳhush rahte haiñ
har baras apne bichhaḌ jaate haiñ 'nāzim'-ashraf
log be-kār na.e saal meñ ḳhush rahte haiñ
ye qanaat hai ki har haal mein KHush rahte hain
dal milti hai to hum dal mein KHush rahte hain
ishq se hum ko rihai nahin achchhi lagti
hum wo panchhi hain ki jo jal mein KHush rahte hain
mera maula tere hathon ko salamat rakkhe
mere aansu tere rumal mein KHush rahte hain
waqt guzra to judai bhi judai na rahi
hum yahan aur wo bhopal mein KHush rahte hain
har baras apne bichhaD jate hain 'nazim'-ashraf
log be-kar nae sal mein KHush rahte hain
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.