ye qudrat ke hathon ke dilkash sanam
ye qudrat ke hāthoñ ke dilkash sanam
kahīñ dekh kar but na ban jaa.eñ ham
mirā dil baḌī qīmtī chiiz hai
muqīm is meñ hai ek aalam kā ġham
mohabbat se ḳhālī nahīñ koī dil
mohabbat har ik dil meñ hai besh-o-kam
sitam ko karam kah rahā hai jahāñ
zarā dekhiye to jahāñ kā sitam
agar dil meñ rangīniyāñ hī na hoñ
to sair-e-jināñ bhī hai sair-e-adam
mere zehn meñ haiñ ka.ī manzileñ
abhī mutma.in hoñ na mere qadam
hue nāmvar hāsidoñ ke tufail
jahāñ meñ the 'parvez' gum-nām ham
ye qudrat ke hathon ke dilkash sanam
kahin dekh kar but na ban jaen hum
mera dil baDi qimti chiz hai
muqim is mein hai ek aalam ka gham
mohabbat se KHali nahin koi dil
mohabbat har ek dil mein hai besh-o-kam
sitam ko karam kah raha hai jahan
zara dekhiye to jahan ka sitam
agar dil mein ranginiyan hi na hon
to sair-e-jinan bhi hai sair-e-adam
mere zehn mein hain kai manzilen
abhi mutmain hon na mere qadam
hue namwar hasidon ke tufail
jahan mein the 'parwez' gum-nam hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.