ye qurb-e-KHas ajab hai ki fasla na gaya
ye qurb-e-ḳhās ajab hai ki fāsla na gayā
tumheñ ḳhudā kahūñ sochā to thā kahā na gayā
vahī to mere liye shāhkār-e-fitrat hai
jo hādisa mirī taqdīr meñ likhā na gayā
vo maslahat thī ki un ke huzūr lab na hile
ye hādisa hai ki dil se bhī kuchh kahā na gayā
ye qurb-e-KHas ajab hai ki fasla na gaya
tumhein KHuda kahun socha to tha kaha na gaya
wahi to mere liye shahkar-e-fitrat hai
jo hadisa meri taqdir mein likha na gaya
wo maslahat thi ki un ke huzur lab na hile
ye hadisa hai ki dil se bhi kuchh kaha na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.