ye raste ye nazare bahaar ka aalam
ye rāste ye nazāre bahār kā aalam
tire baġhair dil-e-be-qarār kā aalam
dhaḌak uThe hai tirā zikr bhī agar aa.e
ye mire dil pe tire iḳhtiyār kā aalam
tujhe ḳhayāl bhī aa.e na duur jaane kā
jo dekh le tū mire intizār kā aalam
hasad na ho jo raqīboñ ke saath bhī dekhūñ
tirī vafā pe mire e'tibār kā aalam
kabhī to aa.e rulāne mujhe koī 'ālok'
kabhī to ho mire dil meñ qarār kā aalam
ye raste ye nazare bahaar ka aalam
tere baghair dil-e-be-qarar ka aalam
dhaDak uThe hai tera zikr bhi agar aae
ye mere dil pe tere iKHtiyar ka aalam
tujhe KHayal bhi aae na dur jaane ka
jo dekh le tu mere intizar ka aalam
hasad na ho jo raqibon ke sath bhi dekhun
teri wafa pe mere e'tibar ka aalam
kabhi to aae rulane mujhe koi 'alok'
kabhi to ho mere dil mein qarar ka aalam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.