Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye raaz kis se bataun ye baat kis se kahun

Bashir Farooq

ye raaz kis se bataun ye baat kis se kahun

Bashir Farooq

MORE BYBashir Farooq

    ye raaz kis se batā.ūñ ye baat kis se kahūñ

    hadīs-e-shauq unvāñ hai ek harf-e-junūñ

    ġhubār-e-rāh ko manzil naam duuñ kaise

    ḳhizāñ ko sub.h-e-bahārāñ maiñ kis tarah samjhūñ

    jab e.atibār nahīñ ḳhud nigāh par apnī

    maiñ kam-nigāhī-e-sāqī zikr kaise karūñ

    tamām umr isī intizār meñ guzrī

    maiñ un se harf-e-tamannā abhī kahūñ na kahūñ

    adā adā meñ kisī payām-o-shauq-o-talab

    nazar nazar meñ kisī fasāna-o-afsūñ

    na ham-jalīs rahbar na ham-qadam raahī

    maiñ kis ko ḳhizr kahūñ kis ko rāzdāñ samjhūñ

    chaman ko luuT rahe haiñ chaman ke rakhvāle

    koī batā.e maiñ sāz-e-bahār kyā chheḌūñ

    ye raaz kis se bataun ye baat kis se kahun

    hadis-e-shauq ka unwan hai ek harf-e-junun

    ghubar-e-rah ko manzil ka nam dun kaise

    KHizan ko subh-e-bahaaran main kis tarah samjhun

    jab eatibar nahin KHud nigah par apni

    main kam-nigahi-e-saqi ka zikr kaise karun

    tamam umr isi intizar mein guzri

    main un se harf-e-tamanna abhi kahun na kahun

    ada ada mein kisi ki payam-o-shauq-o-talab

    nazar nazar mein kisi ki fasana-o-afsun

    na ham-jalis hi rahbar na ham-qadam rahi

    main kis ko KHizr kahun kis ko raazdan samjhun

    chaman ko luT rahe hain chaman ke rakhwale

    koi batae main saz-e-bahaar kya chheDun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now