ye raaz koi jaanne wala bhi nahin hai
ye raaz koī jānñe vaalā bhī nahīñ hai
sūraj kī virāsat meñ ujālā bhī nahīñ hai
sau raste kamāne ke nazar aate haiñ lekin
khāne ke liye ek nivāla bhī nahīñ hai
lab naam tirā lene se katrāne lage haiñ
hālāñki tujhe dil se nikālā bhī nahīñ hai
kyoñ surḳh huā hai ye falak aaj sar-e-shām
maiñ ne to lahū apnā uchhālā bhī nahīñ hai
vo lafz huuñ maiñ jo na adā ho sakā 'hāfiz'
vo baat huuñ maiñ jis kā havāla bhī nahīñ hai
ye raaz koi jaanne wala bhi nahin hai
suraj ki wirasat mein ujala bhi nahin hai
sau raste kamane ke nazar aate hain lekin
khane ke liye ek niwala bhi nahin hai
lab nam tera lene se katrane lage hain
haalanki tujhe dil se nikala bhi nahin hai
kyon surKH hua hai ye falak aaj sar-e-sham
main ne to lahu apna uchhaala bhi nahin hai
wo lafz hun main jo na ada ho saka 'hafiz'
wo baat hun main jis ka hawala bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.