ye rahguzar-e-shauq bhi kitni tawil hai
ye rahguzār-e-shauq bhī kitnī tavīl hai
ghar se chale the soch ke do-chār miil hai
mujh ko lagā ki dard kī bārish karegā vo
ik zaḳhm de ke rah gayā kaisā baḳhīl hai
itnā na ḳharch kījiye rakhiye sañbhāl kar
āñkhoñ meñ āñsuoñ kā zaḳhīra qalīl hai
zulm-o-sitam ne misr pe qabza jamā liyā
muusā ke intizār meñ dariyā-e-nīl hai
ab aur ġham mile na mile koī ġham nahīñ
is mai-kade meñ tishna-labī ḳhud-kafīl hai
ye rahguzar-e-shauq bhi kitni tawil hai
ghar se chale the soch ke do-chaar mil hai
mujh ko laga ki dard ki barish karega wo
ek zaKHm de ke rah gaya kaisa baKHil hai
itna na KHarch kijiye rakhiye sanbhaal kar
aankhon mein aansuon ka zaKHira qalil hai
zulm-o-sitam ne misr pe qabza jama liya
musa ke intizar mein dariya-e-nil hai
ab aur gham mile na mile koi gham nahin
is mai-kade mein tishna-labi KHud-kafil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.