ye rang be-rang sare manzar hain ek jaise
ye rañg be-rañg saare manzar haiñ ek jaise
ye phuul saare ye saare nashtar haiñ ek jaise
ye avval avval tamām bikhre hue manāzir
nazar jamā lo to āḳhar āḳhar haiñ ek jaise
mirī nigāhoñ se ho ke jaatā hai un kā paanī
ye saare dariyā sabhī samundar haiñ ek jaise
maiñ kaal jis ko milā.ūñ jā kar mile usī ko
ye kyā ki duniyā ke saare number haiñ ek jaise
ye muskurāhaT kā ek pardā sā gar haTā kar
'kabīr' dekho to sab ke andar haiñ ek jaise
ye rang be-rang sare manzar hain ek jaise
ye phul sare ye sare nashtar hain ek jaise
ye awwal awwal tamam bikhre hue manazir
nazar jama lo to aaKHar aaKHar hain ek jaise
meri nigahon se ho ke jata hai un ka pani
ye sare dariya sabhi samundar hain ek jaise
main kal jis ko milaun ja kar mile usi ko
ye kya ki duniya ke sare number hain ek jaise
ye muskurahaT ka ek parda sa gar haTa kar
'kabir' dekho to sab ke andar hain ek jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.