ye rang-e-wafa lutf ke andaz to dekho
ye rang-e-vafā lutf ke andāz to dekho
anjām abhī duur hai āġhāz to dekho
phir jaag uThī murda-o-ḳhvābīda tamanna
anjām abhī duur hai āġhāz to dekho
phir jaag uThī murda-o-ḳhvābīda tamanna
ik rashk-e-masīhā kā ye e'jāz to dekho
phir dīda-o-dil meñ hai vahī kaif kā 'ālam
jazb-o-asar-e-husn-e-fusūñ-sāz to dekho
ik jazba-e-be-nām liye phirtā hai dil ko
is tā.ir-e-par-basta kī parvāz to dekho
'mumtāz' har ehsās ko baḳhshā hai nayā ruup
ye mo'jiza-e-'ishq-e-sanam-sāz to dekho
ye rang-e-wafa lutf ke andaz to dekho
anjam abhi dur hai aaghaz to dekho
phir jag uThi murda-o-KHwabida tamanna
anjam abhi dur hai aaghaz to dekho
phir jag uThi murda-o-KHwabida tamanna
ek rashk-e-masiha ka ye e'jaz to dekho
phir dida-o-dil mein hai wahi kaif ka 'alam
jazb-o-asar-e-husn-e-fusun-saz to dekho
ek jazba-e-be-nam liye phirta hai dil ko
is tair-e-par-basta ki parwaz to dekho
'mumtaz' har ehsas ko baKHsha hai naya rup
ye mo'jiza-e-'ishq-e-sanam-saz to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.