ye rang hai to kahan zabt ka rahega bharam
ye rang hai to kahāñ zabt kā rahegā bharam
na ab vo nāz-e-taġhāful na mujh pe jaur-o-sitam
ye shāḳh-e-gul hai ki dil kī jarāhatoñ kā alam
har ek gul nazar aatā hai zaḳhm-e-be-marham
ġhubār-e-rāh kahīñ hai na koī naqsh-e-qadam
abhī abhī to yahīñ the musāfirān-e-adam
ab aa ga.e haiñ to ādāb-e-mai-kashī kī qasam
bas ek jām-e-rifāqat janāb-e-shaiḳh-e-haram
uThā thā kaun ye mīnā-ba-dosh-o-jām-ba-kaf
ki aaj TuuT ke barsā hai abr-e-be-mausam
kabhī hayā ne kabhī kibr-e-husn ne rokā
rahī to un kī tavajjoh idhar magar kam-kam
magar hai fitrat-e-insāñ meñ āzarī pinhāñ
tarāshtā hai har ik shaḳhs ḳhvāhishoñ ke sanam
unheñ bhī tark-e-ta.alluq kā 'rāz' ġham hai magar
baḌhegī baat agar ho ga.ī vo aañkh bhī nam
ye rang hai to kahan zabt ka rahega bharam
na ab wo naz-e-taghaful na mujh pe jaur-o-sitam
ye shaKH-e-gul hai ki dil ki jarahaton ka alam
har ek gul nazar aata hai zaKHm-e-be-marham
ghubar-e-rah kahin hai na koi naqsh-e-qadam
abhi abhi to yahin the musafiran-e-adam
ab aa gae hain to aadab-e-mai-kashi ki qasam
bas ek jam-e-rifaqat janab-e-shaiKH-e-haram
uTha tha kaun ye mina-ba-dosh-o-jam-ba-kaf
ki aaj TuT ke barsa hai abr-e-be-mausam
kabhi haya ne kabhi kibr-e-husn ne roka
rahi to un ki tawajjoh idhar magar kam-kam
magar hai fitrat-e-insan mein aazari pinhan
tarashta hai har ek shaKHs KHwahishon ke sanam
unhen bhi tark-e-talluq ka 'raaz' gham hai magar
baDhegi baat agar ho gai wo aankh bhi nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.