ye rang rup ye saj-dhaj ye bankpan tera
ye rang ruup ye saj-dhaj ye bāñkpan terā
ravish ravish hai tirī ab chaman chaman terā
jo dekh paa.eñ kahīñ rang-e-pairahan terā
to kalima paḌhne lageñ shaiḳh-o-barhaman terā
adā.eñ mast nigah mast chaal meñ mastī
is ek dil ke liye uf ye har jatan terā
mire vajūd pe bhī dastaras kahāñ mujh ko
mirī navā-e-junūñ zauq-e-fikr-o-fan terā
ḳhudā darāz kare umr-e-naġhmagī 'hāmid'
bahut latīf hai ye daur-e-pur-mehan terā
ye rang rup ye saj-dhaj ye bankpan tera
rawish rawish hai teri ab chaman chaman tera
jo dekh paen kahin rang-e-pairahan tera
to kalima paDhne lagen shaiKH-o-barhaman tera
adaen mast nigah mast chaal mein masti
is ek dil ke liye uf ye har jatan tera
mere wajud pe bhi dastaras kahan mujh ko
meri nawa-e-junun zauq-e-fikr-o-fan tera
KHuda daraaz kare umr-e-naghmagi 'hamid'
bahut latif hai ye daur-e-pur-mehan tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.