ye raushan nigahen chamakdar chehre
ye raushan nigāheñ chamakdār chehre
haiñ bātin kī rangat kā iz.hār chehre
jhalak jin kī dīvāna kar de diloñ ko
vo lākhoñ meñ hote haiñ do chaar chehre
tumheñ kyā ḳhabar ai falak ke makīno
zamīñ par haiñ kitne mazedār chehre
vahī raaj karte haiñ sab ke diloñ par
badan par hoñ jin ke asar-dār chehre
unheñ dekhnā chāhtā hī nahīñ dil
muqābil jab aate haiñ makkār chehre
unheñ apne sheroñ meñ Dhālā hai 'hāfiz'
jo haiñ dād-o-tahsīn ke haqdār chehre
ye raushan nigahen chamakdar chehre
hain baatin ki rangat ka izhaar chehre
jhalak jin ki diwana kar de dilon ko
wo lakhon mein hote hain do chaar chehre
tumhein kya KHabar ai falak ke makino
zamin par hain kitne mazedar chehre
wahi raj karte hain sab ke dilon par
badan par hon jin ke asar-dar chehre
unhen dekhna chahta hi nahin dil
muqabil jab aate hain makkar chehre
unhen apne sheron mein Dhaala hai 'hafiz'
jo hain dad-o-tahsin ke haqdar chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.