ye rawan ashk ye pyare jharne
ye ravāñ ashk ye pyāre jharne
mire ho jaa.eñ ye saare jharne
manzar ālūda huā jaatā hai
kis ne dariyā meñ utāre jharne
kisī imkān kā pahlū haiñ koī
tirī āvāz hamāre jharne
itnī namnāk jo hai ḳhaak mirī
kis ne mujh meñ se guzāre jharne
mujh meñ tasvīr huī āḳhir-e-shab
ḳhāmushī peḌ sitāre jharne
ek vaadī hai sar-e-koh-e-sukūt
aur vaadī ke kināre jharne
dekho to bahte hue vaqt kī rau
ab hamāre haiñ tumhāre jharne
kyā batā.ūñ maiñ unheñ tū hī batā
pūchhte haiñ tire baare jharne
ye rawan ashk ye pyare jharne
mere ho jaen ye sare jharne
manzar aaluda hua jata hai
kis ne dariya mein utare jharne
kisi imkan ka pahlu hain koi
teri aawaz hamare jharne
itni namnak jo hai KHak meri
kis ne mujh mein se guzare jharne
mujh mein taswir hui aaKHir-e-shab
KHamushi peD sitare jharne
ek wadi hai sar-e-koh-e-sukut
aur wadi ke kinare jharne
dekho to bahte hue waqt ki rau
ab hamare hain tumhaare jharne
kya bataun main unhen tu hi bata
puchhte hain tere bare jharne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.