ye rishta-e-jaan meri tabahi ka sabab hai
ye rishta-e-jāñ merī tabāhī kā sabab hai
is qaid se chhuTne kī tamannā bhī 'ajab hai
is arsa-e-mahshar meñ ḳhamoshī bhī sadā hai
TuuTī huī qabroñ meñ baḌā shor-o-sha'ab hai
sūraj ko ye zid us kī ki ik buuñd na rah jaa.e
hoñToñ ko faqat pyaas bujhāne kī talab hai
chehre pe thakan saañs kī zanjīr pareshāñ
āñkhoñ meñ magar ab bhī vahī ġhaiz-o-ġhazab hai
kyuuñ dil ko ye hasrat hai kisī aur ko paale
is shahr meñ mujh sā koī pahle thā na ab hai
ye rishta-e-jaan meri tabahi ka sabab hai
is qaid se chhuTne ki tamanna bhi 'ajab hai
is arsa-e-mahshar mein KHamoshi bhi sada hai
TuTi hui qabron mein baDa shor-o-sha'ab hai
suraj ko ye zid us ki ki ek bund na rah jae
honTon ko faqat pyas bujhane ki talab hai
chehre pe thakan sans ki zanjir pareshan
aankhon mein magar ab bhi wahi ghaiz-o-ghazab hai
kyun dil ko ye hasrat hai kisi aur ko pale
is shahr mein mujh sa koi pahle tha na ab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.