ye roz hashr ka aur shikwa-e-wafa ke liye
ye roz hashr kā aur shikva-e-vafā ke liye
ḳhudā ke sāmne to chup raho ḳhudā ke liye
ilāhī vaqt badal de mirī qazā ke liye
jo koste the vo baiThe haiñ ab duā ke liye
bhañvar se naav bache tere bas kī baat nahīñ
ḳhudā pe chhoḌ de ai nāḳhudā ḳhudā ke liye
hamāre vāste marnā to koī baat nahīñ
magar tumheñ na milegā koī vafā ke liye
hazār baar mile vo magar nasīb kī baat
kabhī zabāñ na khulī arz-e-mudda.ā ke liye
koī zarūr hai dīdār-e-āḳhirī meñ naqāb
hazār vaqt paḌe haiñ tirī hayā ke liye
mujhe miTā to rahe ho ma.aal bhī socho
ḳhatā muaaf taras jāoge vafā ke liye
vo jaan kar mujhe tanhā mirī nahīñ sunte
kahāñ se lā.ūñ zamāne ko iltijā ke liye
mire jale hue tinkoñ kī garmiyāñ tauba
khulā huā hai garebān-e-gul havā ke liye
marīz kitnā thā ḳhuddār jaan tak de dī
magar zabāñ na khulī arz-e-mudda.ā ke liye
vo ibtidā-e-mohabbat vo ehtiyāt-e-kalām
banā.e jaate the alfāz iltijā ke liye
zarā marīz-e-mohabbat ko tum bhī dekh aao
ki man.a karte haiñ ab chāragar davā ke liye
'qamar' nahīñ hai vafādār ḳhair yūñhī sahī
huzūr aur koī DhūñDh leñ vafā ke liye
ye roz hashr ka aur shikwa-e-wafa ke liye
KHuda ke samne to chup raho KHuda ke liye
ilahi waqt badal de meri qaza ke liye
jo koste the wo baiThe hain ab dua ke liye
bhanwar se naw bache tere bas ki baat nahin
KHuda pe chhoD de ai naKHuda KHuda ke liye
hamare waste marna to koi baat nahin
magar tumhein na milega koi wafa ke liye
hazar bar mile wo magar nasib ki baat
kabhi zaban na khuli arz-e-muddaa ke liye
koi zarur hai didar-e-aKHiri mein naqab
hazar waqt paDe hain teri haya ke liye
mujhe miTa to rahe ho maal bhi socho
KHata muaf taras jaoge wafa ke liye
wo jaan kar mujhe tanha meri nahin sunte
kahan se laun zamane ko iltija ke liye
mere jale hue tinkon ki garmiyan tauba
khula hua hai gareban-e-gul hawa ke liye
mariz kitna tha KHuddar jaan tak de di
magar zaban na khuli arz-e-muddaa ke liye
wo ibtida-e-mohabbat wo ehtiyat-e-kalam
banae jate the alfaz iltija ke liye
zara mariz-e-mohabbat ko tum bhi dekh aao
ki mana karte hain ab chaaragar dawa ke liye
'qamar' nahin hai wafadar KHair yunhi sahi
huzur aur koi DhunDh len wafa ke liye
- Book : Rashq-e-Qamar (Pg. 129)
- Author : Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat ali and Sons
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.