ye roz-o-shab guzarte lag rahe hain
ye roz-o-shab guzarte lag rahe haiñ
magar lamhe Thaharte lag rahe haiñ
na jaane kab se lāsheñ saḌ rahī haiñ
parinde gasht karte lag rahe haiñ
maiñ ḳhud se duur hotā jā rahā huuñ
purāne zaḳhm bharte lag rahe haiñ
ye bāzāroñ meñ mahñgā.ī kā aalam
sabhī chehre utarte lag rahe haiñ
kabhī pahle na the aise magar ab
sabhī mausam mukarte lag rahe haiñ
havā tūfān le kar aa rahī hai
shajar fariyād karte lag rahe haiñ
jahāñ se rāsta jaatā hai ghar kā
vahīñ par ham Thaharte lag rahe haiñ
ye mausam kaun sā aayā hai jis meñ
hare patte bikharte lag rahe haiñ
bahut mushkil hai sach kā saath denā
hamīñ se ham mukarte lag rahe haiñ
ġhazab kī raushnī hai mere andar
ka.ī sūraj utarte lag rahe haiñ
ajab aalam hai ab dīvāngī kā
dar-o-dīvār Darte lag rahe haiñ
mirī ḳhāmosh tanhā.ī ke lamheñ
bahut āvāz karte lag rahe haiñ
sañvārā hai ġhazal ko ham ne 'sājid'
ġhazal se ham sañvarte lag rahe haiñ
ye roz-o-shab guzarte lag rahe hain
magar lamhe Thaharte lag rahe hain
na jaane kab se lashen saD rahi hain
parinde gasht karte lag rahe hain
main KHud se dur hota ja raha hun
purane zaKHm bharte lag rahe hain
ye bazaron mein mahngai ka aalam
sabhi chehre utarte lag rahe hain
kabhi pahle na the aise magar ab
sabhi mausam mukarte lag rahe hain
hawa tufan le kar aa rahi hai
shajar fariyaad karte lag rahe hain
jahan se rasta jata hai ghar ka
wahin par hum Thaharte lag rahe hain
ye mausam kaun sa aaya hai jis mein
hare patte bikharte lag rahe hain
bahut mushkil hai sach ka sath dena
hamin se hum mukarte lag rahe hain
ghazab ki raushni hai mere andar
kai suraj utarte lag rahe hain
ajab aalam hai ab diwangi ka
dar-o-diwar Darte lag rahe hain
meri KHamosh tanhai ke lamhen
bahut aawaz karte lag rahe hain
sanwara hai ghazal ko hum ne 'sajid'
ghazal se hum sanwarte lag rahe hain
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.