ye roz-o-shab milenge kahan dekhte chalen
ye roz-o-shab mileñge kahāñ dekhte chaleñ
aa.e haiñ jab yahāñ to jahāñ dekhte chaleñ
zamzam piyeñ sharāb piyeñ zahr-e-ġham piyeñ
har har nafas kā raqs-e-javāñ dekhte chaleñ
ho jaa.eñ rafta rafta hasīnoñ kī ḳhāk-e-pā
be-nām ho ke nām-o-nishāñ dekhte chaleñ
lahje meñ rañg ruḳh meñ nazar meñ ḳhirām meñ
ik jān-e-jāñ kā lutf-e-nihāñ dekhte chaleñ
āñkhoñ se uñgliyoñ se laboñ se ḳhayāl se
jis jis badan meñ jo hai samāñ dekhte chaleñ
ye jān-o-tan jo piir hue ġham ke bojh se
jaate hue to un ko javāñ dekhte chaleñ
ḳhushbū se jin kī ab bhī mo'attar haiñ bām-o-dar
in bastiyoñ meñ un ke nishāñ dekhte chaleñ
zauq-e-yaqīñ kī husn-e-muravvat kī ġham kī maut
jo kuchh dikhā.e umr-e-ravāñ dekhte chaleñ
khā.eñ fareb roz uThā.eñ naqāb roz
har shaḳhs kyā hai aur kahāñ dekhte chaleñ
maanā ki rā.egāñ hī ga.ī umr-e-be-sabāt
phir bhī hisāb-e-sūd-o-ziyāñ dekhte chaleñ
ye roz-o-shab milenge kahan dekhte chalen
aae hain jab yahan to jahan dekhte chalen
zamzam piyen sharab piyen zahr-e-gham piyen
har har nafas ka raqs-e-jawan dekhte chalen
ho jaen rafta rafta hasinon ki KHak-e-pa
be-nam ho ke nam-o-nishan dekhte chalen
lahje mein rang ruKH mein nazar mein KHiram mein
ek jaan-e-jaan ka lutf-e-nihan dekhte chalen
aankhon se ungliyon se labon se KHayal se
jis jis badan mein jo hai saman dekhte chalen
ye jaan-o-tan jo pir hue gham ke bojh se
jate hue to un ko jawan dekhte chalen
KHushbu se jin ki ab bhi mo'attar hain baam-o-dar
in bastiyon mein un ke nishan dekhte chalen
zauq-e-yaqin ki husn-e-murawwat ki gham ki maut
jo kuchh dikhae umr-e-rawan dekhte chalen
khaen fareb roz uThaen naqab roz
har shaKHs kya hai aur kahan dekhte chalen
mana ki raegan hi gai umr-e-be-sabaat
phir bhi hisab-e-sud-o-ziyan dekhte chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.