ye sare lafz usi se kalam karte hain
ye saare lafz usī se kalām karte haiñ
to ham bhī marhala-e-shab tamām karte haiñ
mire lahū meñ hī āḳhir ġhazāl-e-ram-ḳhurda
kahāñ se aate haiñ kyūñkar ḳhirām karte haiñ
usī ne ism paḌhā thā to khul ga.e ham bhī
so ye tamām vujūd us ke naam karte haiñ
ye mujh meñ Thahre hue kuchh 'ajīb duniyā-dār
ḳharāb saarā hī dil kā nizām karte haiñ
ye sare lafz usi se kalam karte hain
to hum bhi marhala-e-shab tamam karte hain
mere lahu mein hi aaKHir ghazal-e-ram-KHurda
kahan se aate hain kyunkar KHiram karte hain
usi ne ism paDha tha to khul gae hum bhi
so ye tamam wujud us ke nam karte hain
ye mujh mein Thahre hue kuchh 'ajib duniya-dar
KHarab sara hi dil ka nizam karte hain
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 101)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 103)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.