ye sare phul ye patthar usi se milte hain
ye saare phuul ye patthar usī se milte haiñ
to ai 'azīz ham aksar usī se milte haiñ
ḳhudā gavāh ki un meñ vahī halākat hai
ye teġh-o-tīr ye ḳhanjar usī se milte haiñ
vo ek baar nahīñ hai hazār baar hai vo
so ham usī se bichhaḌ kar usī se milte haiñ
bichhā huā hai vo goyā bisāt kī sūrat
ye sab safed-o-siyah ghar usī se milte haiñ
ye dhuup chhāñv ye āb-e-ravāñ ye abr ye phuul
ye āsmāñ ye kabūtar usī se milte haiñ
ye ḳhaas sāz-e-azal se vo dajla-e-āhañg
ye nīl-o-zamzam-o-kausar usī se milte haiñ
ye motiyā ye chamelī ye mogrā ye gulāb
ye saare gahne ye zevar usī se milte haiñ
aqiiq gauhar-o-almās nīlam-o-yāqūt
ye sab nagīne ye kankar usī se milte haiñ
ye sare phul ye patthar usi se milte hain
to ai 'aziz hum aksar usi se milte hain
KHuda gawah ki un mein wahi halakat hai
ye tegh-o-tir ye KHanjar usi se milte hain
wo ek bar nahin hai hazar bar hai wo
so hum usi se bichhaD kar usi se milte hain
bichha hua hai wo goya bisat ki surat
ye sab safed-o-siyah ghar usi se milte hain
ye dhup chhanw ye aab-e-rawan ye abr ye phul
ye aasman ye kabutar usi se milte hain
ye KHas saz-e-azal se wo dajla-e-ahang
ye nil-o-zamzam-o-kausar usi se milte hain
ye motiya ye chameli ye mogra ye gulab
ye sare gahne ye zewar usi se milte hain
aqiq gauhar-o-almas nilam-o-yaqut
ye sab nagine ye kankar usi se milte hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 346)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.