ye sab qubul jalao hamein bujhao hamein
ye sab qubūl jalāo hameñ bujhāo hameñ
kahīñ to le chalo sankī huī havāo hameñ
zamīñ ke qad se bhī chhoTā ye āsmāñ niklā
ab āsmāñ se zamīñ par utaar laao hameñ
alag hai apnī adā phuul bhī haiñ ḳhanjar bhī
vo āstīñ ho ki dāman kahīñ chhupāo hameñ
is aa.ine meñ chalo jā.eza hī leñ apnā
hamāre daur kā chehra zarā dikhāo hameñ
qadam qadam vahī be-nām manziloñ kā safar
ḳhabar nahīñ ki hai karnā kahāñ paḌāv hameñ
abhī to saaz ke tāroñ ko kas rahā hai shu.ūr
abhī na qarya-e-āvāz meñ bulāo hameñ
nahīñ gulāb ki raunaq baneñge āñgan kī
chamaktī dhuup meñ dīvār par bichhāo hameñ
chalo ki shart-e-rifāqat bhī saath chhoḌ ga.ī
kabhī jo yaad bhī aa.eñ to bhuul jaao hameñ
abhī to jū-e-tunuk-āb se hī ham bhī 'fazā'
kahāñ milā tire āhang kā bahāo hameñ
ye sab qubul jalao hamein bujhao hamein
kahin to le chalo sanki hui hawao hamein
zamin ke qad se bhi chhoTa ye aasman nikla
ab aasman se zamin par utar lao hamein
alag hai apni ada phul bhi hain KHanjar bhi
wo aastin ho ki daman kahin chhupao hamein
is aaine mein chalo jaeza hi len apna
hamare daur ka chehra zara dikhao hamein
qadam qadam wahi be-nam manzilon ka safar
KHabar nahin ki hai karna kahan paDaw hamein
abhi to saz ke taron ko kas raha hai shuur
abhi na qarya-e-awaz mein bulao hamein
nahin gulab ki raunaq banenge aangan ki
chamakti dhup mein diwar par bichhao hamein
chalo ki shart-e-rifaqat bhi sath chhoD gai
kabhi jo yaad bhi aaen to bhul jao hamein
abhi to ju-e-tunuk-ab se hi hum bhi 'faza'
kahan mila tere aahang ka bahao hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.