ye sach hai har jagah tum jalwa-gar ho
ye sach hai har jagah tum jalva-gar ho
vo dekhe jis kī āñkheñ hoñ nazar ho
adāvat meñ adāvat kī ho tāsīr
mohabbat meñ mohabbat kā asar ho
mazā jab hai ki hamdam rang laa.e
lahū dil kā ho yā ḳhūn-e-jigar ho
vo arz-e-vasl par us but kā kahnā
ḳhudā kā vāsta kyoñ mere sar ho
vo chāhe un butān-e-sang-dil ko
ilāhī jis kā patthar kā jigar ho
nahīñ din-sin tumhāre vo ki 'mahmūd'
tumhārī umr ġhaflat meñ basar ho
ye sach hai har jagah tum jalwa-gar ho
wo dekhe jis ki aankhen hon nazar ho
adawat mein adawat ki ho tasir
mohabbat mein mohabbat ka asar ho
maza jab hai ki hamdam rang lae
lahu dil ka ho ya KHun-e-jigar ho
wo arz-e-wasl par us but ka kahna
KHuda ka wasta kyon mere sar ho
wo chahe un butan-e-sang-dil ko
ilahi jis ka patthar ka jigar ho
nahin din-sin tumhaare wo ki 'mahmud'
tumhaari umr ghaflat mein basar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.