ye sach hai koi rahnuma Thik nain
ye sach hai koī rahnumā Thiik na.iiñ
mire bhaa.ī tū bhī chalā Thiik na.iiñ
adīboñ ko sach bolnā chāhiye
siyāsat kī āb-o-havā Thiik na.iiñ
nigāhoñ se melā na ho jaa.e vo
use der tak dekhnā Thiik na.iiñ
hameñ to vahī samt marġhūb hai
balā se udhar rāsta Thiik na.iiñ
chalo dhuup se āshnā.ī kareñ
ye dīvār kā aasrā Thiik na.iiñ
namī aañkh meñ haath meñ thartharī
tire māñgne kī adā Thiik na.iiñ
zamāna muḳhālif thā qismat ḳharāb
'muzaffar' yahāñ kuchh bhī thā Thiik na.iiñ
ye sach hai koi rahnuma Thik nain
mere bhai tu bhi chala Thik nain
adibon ko sach bolna chahiye
siyasat ki aab-o-hawa Thik nain
nigahon se mela na ho jae wo
use der tak dekhna Thik nain
hamein to wahi samt marghub hai
bala se udhar rasta Thik nain
chalo dhup se aashnai karen
ye diwar ka aasra Thik nain
nami aankh mein hath mein tharthari
tere mangne ki ada Thik nain
zamana muKHalif tha qismat KHarab
'muzaffar' yahan kuchh bhi tha Thik nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.