ye sach hai ruh ke andar aqidat sans leti hai
ye sach hai ruuh ke andar aqīdat saañs letī hai
tabhī tahrīr meñ merī shahāmat saañs letī hai
koī nārāz ho jaa.e to aksar sochtī huuñ maiñ
bashar ke dil meñ jaane kyoñ adāvat saañs letī hai
shajar hoñ yā hajar hoñ yā guloñ ke rang hoñ sāhib
havāoñ meñ fazāoñ meñ ye qudrat saañs letī hai
zarā ḳhushiyāñ vahāñ bhī baañT kar tum dekhnā logo
añdheroñ meñ jahāñ ghanghor ġhurbat saañs letī hai
suno gar justujū manzil kī hai to jaan lenā tum
safar ke rāstoñ meñ hī masāfat saañs letī hai
tirī ḳhāmoshiyāñ sāhib baḌī hī jān-levā haiñ
tire hone se hī mujh meñ mohabbat saañs letī hai
anā ke but ko Thokar mārnā hī kāmyābī hai
anā ke but meñ hī sach hai ḳhabāsat saañs letī hai
agar matlab-parastī dil meñ ghar kar le to phir yaaro
diloñ ke darmiyāñ bas ye tijārat saañs letī hai
paḌhegī dil se jab duniyā tujhe ai 'shāz' to sun le
samajh jā.egī tujh meñ kyoñ malāhat saañs letī hai
ye sach hai ruh ke andar aqidat sans leti hai
tabhi tahrir mein meri shahamat sans leti hai
koi naraaz ho jae to aksar sochti hun main
bashar ke dil mein jaane kyon adawat sans leti hai
shajar hon ya hajar hon ya gulon ke rang hon sahib
hawaon mein fazaon mein ye qudrat sans leti hai
zara KHushiyan wahan bhi banT kar tum dekhna logo
andheron mein jahan ghanghor ghurbat sans leti hai
suno gar justuju manzil ki hai to jaan lena tum
safar ke raston mein hi masafat sans leti hai
teri KHamoshiyan sahib baDi hi jaan-lewa hain
tere hone se hi mujh mein mohabbat sans leti hai
ana ke but ko Thokar marna hi kaamyabi hai
ana ke but mein hi sach hai KHabasat sans leti hai
agar matlab-parasti dil mein ghar kar le to phir yaro
dilon ke darmiyan bas ye tijarat sans leti hai
paDhegi dil se jab duniya tujhe ai 'shaz' to sun le
samajh jaegi tujh mein kyon malahat sans leti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.