ye sach hai un mein ye baaten to han hain
ye sach hai un meñ ye bāteñ to haañ haiñ
baḌe bad-zan nihāyat bad-gumāñ haiñ
ġhalat hai ye vo ham par mehrbāñ haiñ
kahāñ apnī samajh hai ham kahāñ haiñ
na ye pūchheñ na aa.e hijr meñ maut
ḳhudā bhūlā hai but nā-mehrbāñ haiñ
nahīñ uThte haiñ aa kar ġhair hargiz
mohabbat meñ yahī bār-e-garāñ haiñ
subūt-e-ishq hai lab ḳhushk sard aah
chhupā.eñ kyā ki ye sab to ayaañ haiñ
na pūchho be-ḳhudī-e-ishq ham se
ḳhabar bhī kuchh nahīñ hai ham kahāñ haiñ
vo kuchh samjheñ sunā deñ hāl-e-dil to
yahī nā vo nihāyat bad-gumāñ haiñ
jab aayā nāvak-e-qātil sū-e-dil
jigar hī bol uTThā ham yahāñ haiñ
abhī uktā ga.e tum hazrat-e-dil
mohabbat meñ hazāroñ imtihāñ haiñ
hameñ bahlā ke rahte haiñ ġham-o-rañj
yahī furqat meñ goyā mehrbāñ haiñ
na kyoñ rashk aa.e baḳht-e-mudda.ī par
ki vo us par bahut hī mehrbāñ haiñ
kareñ kis tarah chāhat un kī ham kam
abhī nām-e-ḳhudā vo naujavāñ haiñ
kabhī kar dī thī zāhir ḳhvāhish-e-vasl
jabhī se to bahut vo bad-gumāñ haiñ
hasīnoñ meñ nahīñ koī burā.ī
magar ik aib ye hai bad-zabāñ haiñ
na kyoñ lutf aa.e ab un ke sitam meñ
sunā hai vo sharīk-e-āsmāñ haiñ
kahe dete haiñ ab dil ko sambhālo
ki ham āmāda-e-āh-o-fuġhāñ haiñ
samajhte haiñ hameñ aur ġhair ko ek
hamāre aap achchhe qadr-dāñ haiñ
zarā Thahro jo aa.e ho dam-e-naz.a
ki ab ham koī dam ke mehmāñ haiñ
'fahīm' itnā hī kyā kam hai hameñ faḳhr
suno ahl-e-zabāñ shīrīñ-zabāñ haiñ
ye sach hai un mein ye baaten to han hain
baDe bad-zan nihayat bad-guman hain
ghalat hai ye wo hum par mehrban hain
kahan apni samajh hai hum kahan hain
na ye puchhen na aae hijr mein maut
KHuda bhula hai but na-mehrban hain
nahin uThte hain aa kar ghair hargiz
mohabbat mein yahi bar-e-garan hain
subut-e-ishq hai lab KHushk sard aah
chhupaen kya ki ye sab to ayan hain
na puchho be-KHudi-e-ishq hum se
KHabar bhi kuchh nahin hai hum kahan hain
wo kuchh samjhen suna den haal-e-dil to
yahi na wo nihayat bad-guman hain
jab aaya nawak-e-qatil su-e-dil
jigar hi bol uTTha hum yahan hain
abhi ukta gae tum hazrat-e-dil
mohabbat mein hazaron imtihan hain
hamein bahla ke rahte hain gham-o-ranj
yahi furqat mein goya mehrban hain
na kyon rashk aae baKHt-e-muddai par
ki wo us par bahut hi mehrban hain
karen kis tarah chahat un ki hum kam
abhi nam-e-KHuda wo naujawan hain
kabhi kar di thi zahir KHwahish-e-wasl
jabhi se to bahut wo bad-guman hain
hasinon mein nahin koi burai
magar ek aib ye hai bad-zaban hain
na kyon lutf aae ab un ke sitam mein
suna hai wo sharik-e-asman hain
kahe dete hain ab dil ko sambhaalo
ki hum aamada-e-ah-o-fughan hain
samajhte hain hamein aur ghair ko ek
hamare aap achchhe qadr-dan hain
zara Thahro jo aae ho dam-e-naza
ki ab hum koi dam ke mehman hain
'fahim' itna hi kya kam hai hamein faKHr
suno ahl-e-zaban shirin-zaban hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.