ye sach hai wafa usne wada kiya
ye sach hai vafā us ne va.ada kiyā
tamāshā magar kuchh ziyāda kiyā
salīqe se rakkhā har ik chiiz ko
yuuñ kamre ko apne kushāda kiyā
kaḌe kos pag pag jhulastī zamīñ
ye rasta bhī tai pā-piyāda kiyā
yuuñ hī apne ghar se nikal aa.e haiñ
safar aaj phir be-irāda kiyā
har ik baat dil māntā hai mirī
koī yaar to sīdhā-sāda kiyā
taraf-dār 'ġhālib' ke ham bhī rahe
magar 'mīr' se istifāda kiyā
libās apnā 'fārūq' ḳhush-rañg thā
magar dhuup ne us ko saada kiyā
ye sach hai wafa us ne wada kiya
tamasha magar kuchh ziyaada kiya
saliqe se rakkha har ek chiz ko
yun kamre ko apne kushada kiya
kaDe kos pag pag jhulasti zamin
ye rasta bhi tai pa-piyaada kiya
yun hi apne ghar se nikal aae hain
safar aaj phir be-irada kiya
har ek baat dil manta hai meri
koi yar to sidha-sada kiya
taraf-dar 'ghaalib' ke hum bhi rahe
magar 'mir' se istifada kiya
libas apna 'faruq' KHush-rang tha
magar dhup ne us ko sada kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.