ye sach nahin hai ki usko meri mohabbaton ki KHabar nahin hai
ye sach nahin hai ki usko meri mohabbaton ki KHabar nahin hai
Humaira Gul Tishna
MORE BYHumaira Gul Tishna
ye sach nahīñ hai ki us ko merī mohabbatoñ kī ḳhabar nahīñ hai
use pata hai ki 'ishq merā faqat fareb-e-nazar nahīñ hai
sabīh chehre pe raushnī ho agar jo bātin se 'ishq phūTe
tamām duniyā meñ 'ishq jaisā koī bhī kār-e-digar nahīñ hai
jo raah DhūñDe vo raah paa.e jo raah paa.e vo bhuul jaa.e
talāsh kar le jo asl apnī vahī hai jo be-ḳhabar nahīñ hai
savāl sachchā javāb jhūTā jamāl maz.hab ḳhayāl kāfir
atā-e-ishq-e-ajab hai sab kuchh kisī ko is se mafar nahīñ hai
ye 'ishq avval ye 'ishq āḳhir ye 'ishq zāhir ye 'ishq bātin
ki lā meñ pinhāñ haiñ raaz kitne kisī ko koī ḳhabar nahīñ hai
ye 'ishq rasta ye 'ishq manzil ye 'ishq 'aasī ye 'ishq zāhid
diyā hai sidra ke rāste par yahāñ pe sab kā guzar nahīñ hai
nazāra siine se ruuh khīñche hijāb uTThe to aañkh dekhe
haqīqatoñ kā nagar kahe ab agar nahīñ hai magar nahīñ hai
ye sach nahin hai ki us ko meri mohabbaton ki KHabar nahin hai
use pata hai ki 'ishq mera faqat fareb-e-nazar nahin hai
sabih chehre pe raushni ho agar jo baatin se 'ishq phuTe
tamam duniya mein 'ishq jaisa koi bhi kar-e-digar nahin hai
jo rah DhunDe wo rah pae jo rah pae wo bhul jae
talash kar le jo asl apni wahi hai jo be-KHabar nahin hai
sawal sachcha jawab jhuTa jamal mazhab KHayal kafir
ata-e-ishq-e-ajab hai sab kuchh kisi ko is se mafar nahin hai
ye 'ishq awwal ye 'ishq aaKHir ye 'ishq zahir ye 'ishq baatin
ki la mein pinhan hain raaz kitne kisi ko koi KHabar nahin hai
ye 'ishq rasta ye 'ishq manzil ye 'ishq 'asi ye 'ishq zahid
diya hai sidra ke raste par yahan pe sab ka guzar nahin hai
nazara sine se ruh khinche hijab uTThe to aankh dekhe
haqiqaton ka nagar kahe ab agar nahin hai magar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.