ye safed safhon ke hans hain inhen raushnai pe chhoD lun
ye safed safhon ke hans hain inhen raushnai pe chhoD lun
Lucky farooqi Hasrat
MORE BYLucky farooqi Hasrat
ye safed safhoñ ke hans haiñ inheñ raushnā.ī pe chhoḌ luuñ
maiñ ḳhayāl-o-fikr kī jhiil se koī rabt-e-bāhamī joḌ luuñ
ho siyāh shab tirā izn gar to nashīle hoñToñ kī nok se
maiñ gulābī chāñd kī marmarīñ se pahāḌiyoñ ko jhiñjhoḌ luuñ
ye ināyatoñ ke babūl kā harā kāñTā merī talab nahīñ
mire aable baḌe narm haiñ inheñ sūkhī ghaas pe phoḌ luuñ
mirī tishnagī ko nasīb ho tirī qurbatoñ kī sharāb gar
maiñ badan ke ḳhālī gilās meñ tirā rang-rūp nichoḌ luuñ
zarā bāġhbāñ kī nazar haTe to maiñ uñgliyoñ se visāl kī
tire tan kī sāñvlī bel se ka.ī phuul bose ke toḌ luuñ
ye safed safhon ke hans hain inhen raushnai pe chhoD lun
main KHayal-o-fikr ki jhil se koi rabt-e-bahami joD lun
ho siyah shab tera izn gar to nashile honTon ki nok se
main gulabi chand ki marmarin se pahaDiyon ko jhinjhoD lun
ye inayaton ke babul ka hara kanTa meri talab nahin
mere aable baDe narm hain inhen sukhi ghas pe phoD lun
meri tishnagi ko nasib ho teri qurbaton ki sharab gar
main badan ke KHali gilas mein tera rang-rup nichoD lun
zara baghban ki nazar haTe to main ungliyon se visal ki
tere tan ki sanwli bel se kai phul bose ke toD lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.