ye saliqa bhi hunar mein rakhna
ye salīqa bhī hunar meñ rakhnā
raushnī rāhguzar meñ rakhnā
yā to ḳhud mere asar meñ rahnā
yā mujhe apne asar meñ rakhnā
mas.ala ġhaur-talab hai us meñ
kuchh andeshe bhī nazar meñ rakhnā
kyā ḳhabar vaqt kahāñ le jaa.e
jaane vāloñ ko ḳhabar meñ rakhnā
dostī jāh-talab aur hameñ
ek tinkā bhī na ghar meñ rakhnā
par-burīda bhī jo uḌnā chāhe
us parinde ko nazar meñ rakhnā
ye saliqa bhi hunar mein rakhna
raushni rahguzar mein rakhna
ya to KHud mere asar mein rahna
ya mujhe apne asar mein rakhna
masala ghaur-talab hai us mein
kuchh andeshe bhi nazar mein rakhna
kya KHabar waqt kahan le jae
jaane walon ko KHabar mein rakhna
dosti jah-talab aur hamein
ek tinka bhi na ghar mein rakhna
par-burida bhi jo uDna chahe
us parinde ko nazar mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.