ye samajh ke chalti hun tera naqsh-e-pa hoga
ye samajh ke chaltī huuñ terā naqsh-e-pā hogā
maiñ jahāñ se guzrūñgī terā sāmnā hogā
vaqt kyā batā.egā kaun kis kā qātil hai
apne aap se ik din mujh ko pūchhtā hogā
rūThne se kyā hāsil aap se mohabbat hai
aap jab bhī aa jaa.eñ merā sar jhukā hogā
jis jagah na tum hoge jis jagah na ham hoñge
ek aisī manzil par qāfila rukā hogā
kitne saal biite haiñ ab bhī terī āñkhoñ meñ
kyā ḳhabar thī ashkoñ kā ab bhī silsila hogā
'nāz' apne lahja ko jab bhī log tarseñge
naam mere hoñToñ par sirf aap kā hogā
ye samajh ke chalti hun tera naqsh-e-pa hoga
main jahan se guzrungi tera samna hoga
waqt kya bataega kaun kis ka qatil hai
apne aap se ek din mujh ko puchhta hoga
ruThne se kya hasil aap se mohabbat hai
aap jab bhi aa jaen mera sar jhuka hoga
jis jagah na tum hoge jis jagah na hum honge
ek aisi manzil par qafila ruka hoga
kitne sal bite hain ab bhi teri aankhon mein
kya KHabar thi ashkon ka ab bhi silsila hoga
'naz' apne lahja ko jab bhi log tarsenge
nam mere honTon par sirf aap ka hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.