ye samajh lo na-shanas-e-rah-e-manzil-e-wafa hai
ye samajh lo na-shanas-e-rah-e-manzil-e-wafa hai
Makhdoom Zada Mukhtar Usmani
MORE BYMakhdoom Zada Mukhtar Usmani
ye samajh lo nā-shanās-e-rah-e-manzil-e-vafā hai
jo qadam qadam pe pūchhe abhī kitnā fāsla hai
mirī tishnagī kī shiddat kī ye intihā hai shāyad
ki samundaroñ kā dāman mire ghar se aa milā hai
mire ghar meñ aag rakh do mujhe bevafā banā do
kisī sard maslahat ne mujhe barf kar diyā hai
ye karam nahīñ to kyā hai mire dast-e-nā-rasā meñ
mire paas jo bhī kuchh hai tirā faiz hai 'atā hai
baḌā mutma.in thā qātil ki nahīñ thā koī shāyad
use ye ḳhabar nahīñ thī ki lahū bhī boltā hai
ye samajh lo na-shanas-e-rah-e-manzil-e-wafa hai
jo qadam qadam pe puchhe abhi kitna fasla hai
meri tishnagi ki shiddat ki ye intiha hai shayad
ki samundaron ka daman mere ghar se aa mila hai
mere ghar mein aag rakh do mujhe bewafa bana do
kisi sard maslahat ne mujhe barf kar diya hai
ye karam nahin to kya hai mere dast-e-na-rasa mein
mere pas jo bhi kuchh hai tera faiz hai 'ata hai
baDa mutmain tha qatil ki nahin tha koi shayad
use ye KHabar nahin thi ki lahu bhi bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.