ye samajhne ki kis ko fursat hai
ye samajhne kī kis ko fursat hai
zindagī maut kī amānat hai
un ko paayā to ye huā mahsūs
jaise mujh ko mirī zarūrat hai
itne jalve qarīb haiñ us ke
jitnī jis kī nazar meñ vus.at hai
āj-kal ham haiñ aur vo manzil
jis meñ har har qadam pe zahmat hai
dūsroñ ke liye fanā ho jaao
yahī me.arāj-e-ādamiyyat hai
is tajāhul se pūchhne ke nisār
kyā hamīñ se tumheñ mohabbat hai
zindagī ġhaflat-e-tamām sahī
maut ta.abīr-e-ḳhvāb-e-ġhaflat hai
zikr masjid meñ mai-kade kā shaiḳh
aap kā dam bahut ġhanīmat hai
jis meñ ho jaa.eñ mehrbāñ vo 'nihāl'
hāsil-e-zindagī vo saa.at hai
ye samajhne ki kis ko fursat hai
zindagi maut ki amanat hai
un ko paya to ye hua mahsus
jaise mujh ko meri zarurat hai
itne jalwe qarib hain us ke
jitni jis ki nazar mein wusat hai
aaj-kal hum hain aur wo manzil
jis mein har har qadam pe zahmat hai
dusron ke liye fana ho jao
yahi mearaj-e-adamiyyat hai
is tajahul se puchhne ke nisar
kya hamin se tumhein mohabbat hai
zindagi ghaflat-e-tamam sahi
maut tabir-e-KHwab-e-ghaflat hai
zikr masjid mein mai-kade ka shaiKH
aap ka dam bahut ghanimat hai
jis mein ho jaen mehrban wo 'nihaal'
hasil-e-zindagi wo saat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.