ye samundar pe barasta pani
ye samundar pe barastā paanī
haa.e pyāsoñ ko tarastā paanī
aage dīvār-e-sikandar hī sahī
ḳhud banā letā hai rastā paanī
dekh in rotī huī āñkhoñ se
shahr ke shahr ko Dastā paanī
be-numū hai mire ashkoñ kī tarah
dasht-e-vīrāñ pe barastā paanī
maslahat hogī koī qātil kī
ho gayā ḳhuun se sastā paanī
ye samundar pe barasta pani
hae pyason ko tarasta pani
aage diwar-e-sikandar hi sahi
KHud bana leta hai rasta pani
dekh in roti hui aankhon se
shahr ke shahr ko Dasta pani
be-numu hai mere ashkon ki tarah
dasht-e-viran pe barasta pani
maslahat hogi koi qatil ki
ho gaya KHun se sasta pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.