ye sang-o-KHisht ki barish ye zindagi ka badan
ye sang-o-ḳhisht kī bārish ye zindagī kā badan
lahū lahū nazar aatā hai aadmī kā badan
kaho añdheroñ se zulfeñ bikher deñ apnī
thakā thakā huā lagtā hai raushnī kā badan
vo zaḳhm haiñ ki jo dekho to aañkh bujh jaa.e
bahut hasīn hai yuuñ to mirī hañsī kā badan
ye kis kā lams milā hai zamīn-e-gulshan ko
tumhāre jism kī sūrat hai har kalī kā badan
dahakte jism pe halke se nylon kā libās
ho jaise jhiil ke paanī meñ chāñdnī kā badan
ḳhatā mu'āf magar ahl-e-dil ne bhī aksar
junūñ ke naam pe nochā hai 'āshiqī kā badan
ye sang-o-KHisht ki barish ye zindagi ka badan
lahu lahu nazar aata hai aadmi ka badan
kaho andheron se zulfen bikher den apni
thaka thaka hua lagta hai raushni ka badan
wo zaKHm hain ki jo dekho to aankh bujh jae
bahut hasin hai yun to meri hansi ka badan
ye kis ka lams mila hai zamin-e-gulshan ko
tumhaare jism ki surat hai har kali ka badan
dahakte jism pe halke se nylon ka libas
ho jaise jhil ke pani mein chandni ka badan
KHata mu'af magar ahl-e-dil ne bhi aksar
junun ke nam pe nocha hai 'ashiqi ka badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.