ye sard raat koi kis tarah guzarega
ye sard raat koī kis tarah guzāregā
havā chalī to lahū ko lahū pukāregā
ye sochte haiñ ki is baar ham se milne ko
vo apne baal kis andāz meñ sañvāregā
shikāyateñ hī karegā ki ḳhud-ġharaz nikle
vo dil meñ koī bullet to nahīñ utāregā
yahī bahut hai ki vo ḳhud nikhartā jaatā hai
kisī ḳhayāl kā chehra to kyā nikhāregā
yahī bisāt agar hai to ek roz 'faroġh'
jo ham se jiit chukā hai vo ham se hāregā
ye sard raat koi kis tarah guzarega
hawa chali to lahu ko lahu pukarega
ye sochte hain ki is bar hum se milne ko
wo apne baal kis andaz mein sanwarega
shikayaten hi karega ki KHud-gharaz nikle
wo dil mein koi bullet to nahin utarega
yahi bahut hai ki wo KHud nikharta jata hai
kisi KHayal ka chehra to kya nikhaarega
yahi bisat agar hai to ek roz 'farogh'
jo hum se jit chuka hai wo hum se haarega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.