ye sarkari shifa-KHane mein jo bimar leTe hain
ye sarkārī shifā-ḳhāne meñ jo bīmār leTe haiñ
bahut aage ga.e baaqī jo haiñ tayyār leTe haiñ
kisī ko kyā pata ham jhāñkte rahte haiñ morī se
ba-zāhir ik havannaq haiñ pas-e-dīvār leTe haiñ
hamāre ishq aur un ke taġhāful kā ye aalam hai
ki ham dil haar baiThe haiñ vo lene haar leTe haiñ
yūñhī shaam o sahar rahtā hai naqsha un kī mahfil kā
idhar das pāñch baiThe haiñ udhar do chaar leTe haiñ
ye sarkari shifa-KHane mein jo bimar leTe hain
bahut aage gae baqi jo hain tayyar leTe hain
kisi ko kya pata hum jhankte rahte hain mori se
ba-zahir ek hawannaq hain pas-e-diwar leTe hain
hamare ishq aur un ke taghaful ka ye aalam hai
ki hum dil haar baiThe hain wo lene haar leTe hain
yunhi sham o sahar rahta hai naqsha un ki mahfil ka
idhar das panch baiThe hain udhar do chaar leTe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.